Tuesday, 17 September 2019

Badlaav

Ye wahi sadak hai
Jahan kisika apna
Maut se gujrah tha,
Woh mohabbat hi tha
Jo saare gaaon walon ko
Sadak pe dharne pe paya tha.

Dard jo tha sine pe
Woh Chikh chikh ke bola tha
 Dusro ke Wajah se
Hum ne apno ko jo khoya tha.

Dekho Aaj kanoon badal gaya
Trafic rule aur jyaada sakt ho gaya.

Ye wahi sadak hai
Jahan phir se tum ko paya
Aaj kon si dard hai
Jo samajh me nahi  aaya.

Mohabbat hai ya dard
Jo tumne phir se babaal machaya
zindegi se jyada
Sayad aaj paisa pyaara najar aaya.

Kyun badlav ki baate tum karte ho
Tum khud ko kahan  sudhaar te ho.


No comments:

Post a Comment

पापा

हां वह जिंदा है मेरी यादों में हां वह मिलने आते है मेरी सपनों में करीबन बारा साल होगया उन्हें देखते हुए तस्वीरों में काश ! आप होते अ...