Friday, 10 April 2020

पापा

हां वह जिंदा है
मेरी यादों में
हां वह मिलने आते है
मेरी सपनों में
करीबन बारा साल होगया
उन्हें देखते हुए तस्वीरों में
काश ! आप होते
अरसा होगया पापा बुलाने में
यूं तो हर इच्छा पूरी की माँ ने
कभी कभी आपकी कमी और जरूरत
मेहसुश होती हैं जीवन में।

Monday, 17 February 2020

CHUMBAK

Khaamoshi se main
Uski khaamoshiyaan padhne lagi,
Dhire dhire mujhe
Uski saadgi achhi lagne lagi.
Anjaano ke bich
Wahi bas apna sa lagi,
Woh ladki thi ya chumbak
Mujhe uski aur khichne lagi.

Sunday, 3 November 2019

Jazba

Mann patang banke
Jo shaan se udd raha tha
Kisi ne aisi kati
zameen pe aake gira tha.

Hai jazba ab bhi
Kati patang Ko phir se uda denge
Koi kaat na sake
Aisi dhaaga  hum banayenge.

Monday, 28 October 2019

Kashmakash

Jhuti zindagi jite jite
Asli zindagi berang ho gaya,
Ummid ke deep koi jale
Par Hawaa  andhera kar gaya.

Apne aap se bhaag te rahe
Khud ko hi kamre me kaid karte rahe,
Sara mohalla utsav manata raha
Hum apni kashmakash me jalte rahe.

Sunday, 29 September 2019

Mohabbat aaj phir bhi hai

Tamanna tujhe pane ki utni thi nahi
Isliye anguthi me kaid karne ki kashish ki nahi,
Hai isqh aaj phir bhi 
Par kisi bandhan me bandh ne ki aas nahi.

Attachment utna tha nahi
Isilye tere door jaane ka koi gum nahi, 
Hai pyaar aaj phir bhi 
Par tujhe kisi aur ke sang dekh ke dard hota nahi.

Nafrat ush ladki se hai nahi
Isilye uski naam ki tattoo dekh k jalan hua nahi
Hai fikar tera aaj bhi
Par tere chhune se aaj dil dhadakta hai nahi.

Tuesday, 17 September 2019

Raaton se Dosti

Tanhayion se
meri khub banti hai
Bezuban lafz
sirf panne pe bayan hoti hai.
Raaton se
humari jigari dosti hai
Main na ushe chhod paati hun
Na woh mujhe akele dekh pati hai.
Raat andhera jarur hai
Par chaand ki roshni se
ushine hi mujhe milwaya hai.


Badlaav

Ye wahi sadak hai
Jahan kisika apna
Maut se gujrah tha,
Woh mohabbat hi tha
Jo saare gaaon walon ko
Sadak pe dharne pe paya tha.

Dard jo tha sine pe
Woh Chikh chikh ke bola tha
 Dusro ke Wajah se
Hum ne apno ko jo khoya tha.

Dekho Aaj kanoon badal gaya
Trafic rule aur jyaada sakt ho gaya.

Ye wahi sadak hai
Jahan phir se tum ko paya
Aaj kon si dard hai
Jo samajh me nahi  aaya.

Mohabbat hai ya dard
Jo tumne phir se babaal machaya
zindegi se jyada
Sayad aaj paisa pyaara najar aaya.

Kyun badlav ki baate tum karte ho
Tum khud ko kahan  sudhaar te ho.


पापा

हां वह जिंदा है मेरी यादों में हां वह मिलने आते है मेरी सपनों में करीबन बारा साल होगया उन्हें देखते हुए तस्वीरों में काश ! आप होते अ...