Sunday, 29 September 2019

Mohabbat aaj phir bhi hai

Tamanna tujhe pane ki utni thi nahi
Isliye anguthi me kaid karne ki kashish ki nahi,
Hai isqh aaj phir bhi 
Par kisi bandhan me bandh ne ki aas nahi.

Attachment utna tha nahi
Isilye tere door jaane ka koi gum nahi, 
Hai pyaar aaj phir bhi 
Par tujhe kisi aur ke sang dekh ke dard hota nahi.

Nafrat ush ladki se hai nahi
Isilye uski naam ki tattoo dekh k jalan hua nahi
Hai fikar tera aaj bhi
Par tere chhune se aaj dil dhadakta hai nahi.

No comments:

Post a Comment

पापा

हां वह जिंदा है मेरी यादों में हां वह मिलने आते है मेरी सपनों में करीबन बारा साल होगया उन्हें देखते हुए तस्वीरों में काश ! आप होते अ...